Hazrat Allama Mulla Ali Qari Hanafi Rahmatullahi alaih is Hadees e Kudsi ko nakal farmane ke bad farmate hain ki ye Hadees Sharif mane ke etebar se bilkul sahi hai
Allah Karim farmata hai Ke *Mein Chhupa Hua khajana tha*
Yani kaynat ki koi chij nahin thi Jo Mujhe pahchanti koi Insan nahin tha Jo Mere Geet Gaata koi Farishta nahin tha Jo Meri bargah Mein Apna Sar Jhuka tha
*bus mujhe chahat hoyi ke main pahchana jau to maine makhlooq ko paida farmaya*
yani sirf ek zaat e kadim thi Na ilm tha na shaoor, na qurb tha na duri, na zameen thi na aasman,arsh tha na farsh,na jannat thi na dozakh , na ilm tha na irfan aur na kisi makhlooq ka wajud bas wahi ek zaat thi jaisa ke Hadees a pak Mein Irshad hai
Allah karim aisa hai ki uske sath Koi chiz nahi wo pahle Jaisa tha ab bhi vaisa hi hai badalta nahi hai na Jaat main na sifaat main na afaal main na apne naamon main kaynat ke badalne Ki tarah.
bus khuda Ke Sath koi gair e khuda Nahin ho sakta
Jab zaat e haq ne Huwiyyat ke Asrar aur ramoz ko zahir karna Chaha to farmaya
Mein Chhupa Hua khajana tha bus Maine Chaha ke Mein pehchana jao to maine khalqat ko Paida Kiya .