Sunday, 5 April 2020

HUZUR KI WILADAT SE PAHLE KI DUNIYA

       
             Huzur e akram salallahu alaihe wa sallam ki wiladat se pahle duniya jihalat ke andhere me dubi hui thi sabiqa nabiyo ki talimat lagbhag khatam ho chuki thi logo ne unki talimat me itna bigaad paida kar diya tha ke haqiqat ki talash na mumkin ho chuki thi chand mashhoor mulko ka hal kuch aisa tha

           *Europe* ke bashindo ne Hazrat Isa Alaihissalam ki talimat ke bilkul khilaf taslees ke  aqide ko apna liya tha yani teen khuda mante the 1. Khuda   2. Isa aur   3. Mariyam ko  aur kalisa jarayam ka markaz ban chuke the

           *Iran* ye ek bahot badi saltanat hone ke bawajood bhi akhlaaki pasti ke intehayi gehre  gaar me kaid thi yaha ke log aag ki pooja karte the

           *Misar* yaha yahudi log Allah ke nabi uzair Alaihissalam ko Allah ka beta samajh kar unki ibadat karte the

           *Hind* is mulk me karodo devtao ki parastish ki jati thi Aag, Hawa, Pani, Matti, Bijali,Ped,Sap,bandar,gaay,wagairah har chiz ko pooja jata tha. Insaniyat ko 4 alag alag tabqo me bat diya gaya tha 1 Brahman  2 Chhatriya  3 Vaish  4 Shudar aur Shudaro ke sath gair insani suluk kiya jata tha. Koi shudar brahman ke ghat se Pani tak nahi pi sakta tha

           Yahi hal Ashiya  ke dusare bade mulko ka tha Barma, Chin ,Nepal wagaira sab but parasti kiya karte the 

           *Rom* Yaha bhi devtao ki pooja hoti hakimo Aur amiro ki khub ayyashiya chalti thi jab ke unki awam riaaya bhuk se marti thi kamzor aur garibo ka jina dushwar hogaya tha. 
           Aur Arab mulko ka haal to in mulko se bhi gaya guzara tha. 

   





Share on Whatsapp