Wednesday, 1 April 2020

Sirat Kya Hai ?

           

             Purane zamane ke hadis aur fiqah ke jankarone magazi  aur siyar ke unwan ke tahat jab bhi apni kalam ko harkat diya to sirf gazwat aur uske mutallakat ko bayan kiya magar sirat e nabawi ke kalam karo ne is unwan ko is kadar wusat de di ke Huzur Rehmat e Alam( Salallaho Alaihe wa Sallam) ki Wiladat e Mubarak se visale haq tak ki tamam marahil e jindagi, aap ki Zaat o Sifat, aap ke din -raat aur tamam wo chize jin ko aap ki zaat e wala sifat se taalukat ho khwa wo insani jindagi ke muamilat ho ya nabuwwat ke mojzat ho in sab ko sirat ke unwan hi ke abwab aur fasalo mai shumar kar ne lage.

           Chunanche, ailane nabuwwat se pehle aur bad ke tamam waqiyat, kashana e Nabuwwat se jabale hira ki gaar tak aur jabale hira ki gaar se jabale sor ki gaar tak aur harame Kaba se tayaf ke bazar tak aur makka ki charah gaho se mulk e Sham ki tijarat gaho tak aur azwaje mutahharat ke hujaro ki khalwat gaho se lekar Islami gazwat ki razam gaho tak aap ki Jindgiy e mukadasa ke har har lamhe ko sirat e nabawi hi ke bab mai shumar kiya jata hai.     

                                                                                                                                                                    -Hazrat Rabbani Peer


Share on Whatsapp