Thursday, 9 April 2020

HUZUR KI WILADAT SE PAHLE ARAB KI AKHLAAKI HALAT

   
  Arab ki akhlaaki halat bad se badtar thi jihalat ne un logo me but parasti ko janam diya aur wo mazaheer e fitrat ki har chiz paththar ,ped ,chand, suraj, pahad ,dariya wagaira ko apna mabood samajhne lag gaye the Aur hatho se banayi huwi Matti Aur paththar ki murato ki ibadat karte the
   
Mazhabi etebar se hijaz ke log apne rishte ko Ibrahim Alaihissalam se milane par fakhar mehsoos karte the kuch rasme millat e Ibrahimi ki un ke yaha rayaj bhi thi agarche un ki shakal o Surat bilkul bigad chuki thi baz log nange hokar haz karte or us ki tawil  ye karte ke jin kapdo me hum  gunah karte hai un me hum khuda ke ghar ka tawaf kaise kar sakte hai 

baz  Arab apni Betiyo ko zinda qabar me dafan kar  dete  the us ke chand asbaab the 

Jung me kaid ho kar kisi dushman ke hath na aaye 

Koi hamara dmaad na bane 

Aulaad ko rizk ki kami ke sabab katal kar dalte the 

Jab baap mar jata to us ki Biwi miras ke tor per ladke ke qabze me aajati wo agar cahe to us se Shadi kar leta or agar cahta to Kisi dusre se Shadi kara kar maher hasil kar leta 

Rehzani, Juwa, Sharab noshi, haram Kari, aurto ka agwa, ayashi, fahash goyi, un ki aadat me shamil thi 

Garz ke chote bade sab ke sab gunaho ke putle aur pap ke pahad bane huwe the .